Shuru Karein Kya Lyrics & Song – Article 15 | Spitfire
Movie : Article 15
Singers : Spitfire, Slowcheeta, Dee Mc, Kaam Bhaari
Music : Anurag Saikia, Piyush Shankar, Devin Dlp Parker, Gingger Shankar
Lyricists : Dee Mc, Slowcheeta, Kaam Bhaari, Spitfire
Genre : Happy
Music Label : Zee Music Company
Views : 513
Shuru Karein Kya Lyrics
Baatein bahut hui Kaam shuru karein kya Kal kya karega Aaj shuru karein kya Yeh desh apne haath Kuch baaton se hoga na Tu khud hi hai naayak Toh shuru karein kya.. Baatein bahut hui Kaam shuru karein kya Kal kya karega Aaj shuru karein kya Yeh desh apne haath Kuch baaton se hoga na Tu khud hi hai naayak Toh shuru karein kya.. Shuruaat se hi seekhte ghalat hai Garam hai hum sab pe Par khud mein jo dum hai woh kum hai kya Tere andar ki zameen aaj numm hai kya Doosron pe bhonkhe Tujhe khud pe sharam hai kya Gareebon pe atyachaar Bachchiyon ka balaatkaar Naa rokega naa toh Na hoga aisa koi chamatkar Ungli uthaate par awaaz toh uthaao Note sab chaape saale izzat kamaao Batti tum jalaate khali kadam badhate Apne andar ke andhere Mein woh batti ko jalaao.. Aaftaab si udaan kyun Samaaj bana chilman sa Lutkar jo lathpath Tu puchhta hai jaat unka Tarkash mein mazhab Ye jab tak tarazu ke Peedhhi ki maut hogi gharshan kare shanka Haan, ainak awaam ka hai saaf nahi Devi haan sadko pe darke kyu kaanp rahi Saanp bani chhati pe dehshat dharam ki Tu khud hai masiha ye ankhe kyu nam si Saanp bani chhati pe dehshat dharam ki Tu khud hai masiha ye ankhe kyu nam si.. Baatein bahut hui Kaam shuru karein kya Kal kya karega Aaj shuru karein kya Yeh desh apne haath Kuch baaton se hoga na Tu khud hi hai naayak Toh shuru karein kya.. Bhai musalman ka toh Kaai ko ladte jaat pe Insaaniyat hai gumshuda Aur psycho hum halaat se Aur apne logo ko toh chahiye jaati ka waar Haathi ka daant Tu bol mujhko kidhar gayab insaaf Tabhi to milega jabhi tu Apne haq ko bolna shuru karega Sach ko kholna sab ke baare mein sochna Ab tu nahi darega Ameer ke thaali mein roti hai chaar Fakeer nahi hai mila prasaad Sab theek hai tera toh badha vyapaar Kamzor pe aise na daal dabaav.. Chalo shuru se karein haal kyun behaal hai Aise toh azaadi ko huve sattar saal hain Hum azaad na phir bhi Kabhi sunte na khud ki Ghar baithe sochenge masle ki tarqeeb Kadam le aage toh peeche ye kheenche Tu zyada sach ugle toh dharti ke neeche Ab neeche hi rehna Himmat se sehna Woh maare wo peete Tu kuch bhi na kehna Har jaati se choti yahaan aurat ki jaat Dede jeevan ki dor kisi aur ke haath Yahaan praan jaaye par maan na jaaye Dulat ki laalach hadapti duaayein.. Baatein bahut hui Kaam shuru karein kya Kal kya karega Aaj shuru karein kya Yeh desh apne haath Kuch baaton se hoga na Tu khud hi hai naayak Toh shuru karein kyaa..
More Lyrics from Article 15 Movie
- Kahab Toh - Sayani Gupta
- Naina Yeh - Aakanksha Sharma, Yasser Desai
- Na Intezari Hai Teri - Armaan Malik